Ishq Shayari -Love Shayari


 Ishq Shayari -Love Shayari
Aisy Na Thy Hum Ahl-e-Dil, Itny Kahan Kharab Thy ~
Hum Bhe Kissi Kee Aas Thy, Hum Bhe Kisi Ka Khuwab Thy. 
********
Saleeka ho agar bheegi huyee aankhon ko parhnay ka~
to phir behtay huye aansu bhi aksar baat kartay hain. 
********
Ujaale apane yaadon ke hamare saath rahnedo~
Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye. 
********
Woh daur se guzri hai daastane mohobbat hamari~
Lamhon ne khata ki thi, sadiyon ne saza paayi.
********
"masleHat chaahtii hai k, manzil milay
aur dil DhuuNDtaa hai ko’ii kaarvaaN"
*******
"masleHat chaahtii hai k, manzil milay
aur dil DhuuNDtaa hai ko’ii kaarvaaN"
*********
"jab sab ke lab sil jaayeNge, haathoN se qalam chhin jaayeNge
baatil se lohaa lene kaa, ailaan kareiNgi zanjeereN"

**************
"tire wa`ade pe kahaaN tak mira dil fareb khaaye
 ko`ii aisa kar bahaanah, miri aas TuuT jaaye"
===========
voh baat saare fasaane meiN jis ka zikr na thaa
voh baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai !
------------------
Kuch itna khogar-e-bedaad ho gaya hooN
hua hai lutf to nashaad ho gaya hooN
----
zindagi tuu ne mujhe qabr se kam dee hai zameeN
paahooN phelaahooN to deewaar se sar lagtaa hai 
--------
Maana ke is zameen ko na gulzaar kar sake,
kuch khaar kam kar gaye, guzre jidhar se hum.
---------
Chaajaye Khudaaya Teri rehmaton ka saaya,
Iltejaa mein woh asar aajaaye Khudaaya.
----------
Kaunain ka har zarrah deta hai sadaa Teri;
Allah bayaan humse taareef ho kya Teri? 
-----------
Yuun tow har shaam ummiidon pe guzar jaatii thii
Aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa 
----------
Kis qadar hain terii aankhen bebaak,
In se fitane bhii hayaa karate hain. 
-----------
YaaRab! Zamaana mujhko mitaata hai kis liye?
Loh-e-jahaan pe harf-e-muqarrar naheen hoon main.
------------
Meri taswir mein rang aur kisi ka tow nahi,
Gher ley mujh ko sab aankhen, mai tamashaa tow nahi?  ----------
Farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya,
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee. 
----------------
Kehdo in hasraton se kahin aur jaa basen.
Itni jagah kahaan hai dil-e-daagdaar mein? 
------------
Koee hota jisko apna; hum apna kehlete yaaro,
Paas nahi tow duur hi hota, lekin koee mera apna. 
--------------------
Maangenge ab duaa ki usay bhuul jayen hum,
Lekin jo woh bawaqt-e-duaa yaad aa gaya. 
-------------
Kutchh lamhe puuchte hain mujhse,Kyun aaj tum mere saath nahin,
Zindaa to lagte ho, par zindagi jaisi koi baat nahin.
---------------
O aasman waale kabhee tow nigaah kar,
Kab tak ye zulm sehte rahen khamoshi se hum?
-----------------
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kati hai,
Jaane kis zulm ki paayi hai saza yaad nahi.
--------------
Yuun tujh ko ikhtiyaar hai, taasiir de na de,
Dast-e-duaa ham aaj uthaaen huay to hain. 
-------------
Khalvat-e-ummiid mein roshan hai ab tak vo chiraagh,
Jis se uthtaa hai qariib-e-shaam yaadoon kaa dhuaan. 
----------------
ek mahafil me.n ka_ii mahafile.n hotii hai.n shariik
jis ko bhii paas se dekhoge vo tanhaa hogaa
----------------
ek puraanaa mausam lauTaa yaad bharii puravaa_ii bhii
aisaa to kam hii hotaa hai vo bhii ho tanhaa_ii bhii 
---------------
jab taqaazaa nii.nd kaa ho aur tanhaa_ii na ho
uff vo kaifiyat ki ho bhii aur tanhaa_ii na ho
---------------
merii zindagii bhii merii nahiin ye hazaar Khaanon men baT gaii
mujhe ek muTThii zamiin de ye zamiin kitanii simaT gaii
---------------
ulaT de ai sabaa tuu hii naqaab-e-ruKh ko chehare se
kabhii to dekh le.n ham bhii zaraa sarakaar kii suurat
-----------
chheDatii hain kabhii lab ko kabhii ruKhsaaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chaDhaa rakhaa hai
-----------------
ai intazaar-e-jaanaaN ham jaanaten hain tujhe
kaaTe hain raat ham ne karavaT badal badal ke
-----------------
merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hain
likhaa hai ye Khat men ki ham aa rahe hain

------------
raaz kii baaten likhii aur Khat khulaa rahane diyaa
jaane kyon rusvaa_iion kaa sil-silaa rahane diyaa
---------------
»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Hum Zindagi Ki Jung Main Haray Zarur Hain
Lekin Kisi Mahaaz Se Paspa Nahi Huay..

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Zingadi Tunay Mujhay Qabr Se Kam Di Hai Jagah
Pa-on Phela-un Tou Deewar Pe Sirr Lagta Hai..

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Gham Aur Khushi Main Farq Na Mehsuus Ho Jahan
Main Dil Ko Uss Maqaam Main Laata Chala Gaya

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Lia
Jo Kho Gaya Main Uss Ko Bhulata Chalata Gaya

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Shor Itna Ke Rug Rug Main Hai Mehshar Barpa
Aur Sukoon Aisa Ke Marr Janay Ko Jee Chahta Hai..

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

vo bhii shaayad ro paDe viiraan kaaGaz dekh kar
main ne use aaKhirii Khat men likhaa kuchh bhii nahiin

--------------
»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Saanp Ko Tu Aadmi Se Na Mila
Saanp Kuch Bay-Zararr Bhi Hotay Hain

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»


Zindagi Aamad Baraye Bandagi
Zindagi Bay-Bundagi Sharmindagi

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»


Tu Bhi Kuch Aur Aur Hai Hum Bhi Kuch Aur Aur Hain
Janay Wo Tu Kidhar Gaya, Janay Wo Hum Kidhar Gaye
Raah Main Milay Thay Hum Rahain Naseeb Bann Gaeen
Tu Bhi Na Apne Ghar Gaya Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Samay Jese Guzarta Ja Raha Hai
Koi Dil Se Utarta Ja Raha Hai

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

Bana Tha Rait-Lee Matti Se Jewan
Bikharta He Bikharta Ja Raha Hai

»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»»←◊◊»»

टिप्पणियाँ